na jane kab kaun badal jaye tere waadon ki tarah

woh ehsaas bhi murjha gaye tere diye phulon ki tarah,
hum bhi mohabbat ke mare ho gaye auron ki tarah,

tu aayi thi apni marji se aur chali gayi,

mere dar par na lauti tu mausamon ki tarah,

kya chupaun main palakon ke pardon se,
chalak hi jata hai dard aankhon se ashkon ki tarah,

shak hai hamein ab naam-e-wafa par,
na jane kab kaun badal jaye tere waadon ki tarah,

jee to hum lenge hi tere bina bhi,
chubhti rahegi teri baat hamesha kaaton ki tarah,

khuda tujhe khushiyaan adda kare,
kabhi na tute tera koi khawab mere armaano ki tarah,

bas ab yehi dua karenge hum sada,
tujhse khushiyaan jurdi rahe, 
mujhse mere gumon ki tarah.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts