pyar ka aanjam kya hota hai

yeh pyaar kya hota hai?
pyaar ka saath kya hota hai?

kyun khote hain achche dost?
iss dil ka yeh haal kyon hota hai?

chal pardte hain hum jis pyaar ki raha pe,
kyun koi humare saath nahi hota hai?

raha pe chalne se pehle kyun log sochte nahi,
iss raha ka aanjam kya hota hai?

kahi kho jaati hai yeh raha,
kyun mera yeh safar kabhi pura nahi hota hai?

milta hai jo bhi humsafar iss safar mein,
kyun woh humsafar saccha nahi hota hai?

chord jaata hai haath mera
root jaata hai pyaar mera,


to phir yeh pyaar kya hota hai?
pyar ka aanjam kya hota hai?

kya yeh dard ka sirf ek paigam hota hai??

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts