jaane kab se kar raha hai koi tumhara intezaar yuhi chalte chalte

socha kabhi yuhi phir mil jaoge tum chalte chalte,
aur sath nibhaoge yuhi tum mera chalte chalte.

kya khabar thi na aaoge tum,
aur na kabhi yuhi tham loge mera hath chalte chalte.

reh gaye ab hum tannha in rahon mein,
jin par kabhi tumne kiye the waadien yuhi chalte chalte.

barda tardpati hai, rulati hai tumhari yeh yaadien,
jo de gaye the tum kabhi yuhi chalte chalte.

bas ab ehsas hai tumhara, 

pata hai.. na tum ho na hai saya tumhara,

jane phir bhi kyon dhundti rehti hai,

yeh aankhein un raho mein tumhein,
jin par kho gaye the tum kabhi yuhi chalte chalte.


kya kabhi tum aaoge nahi un waadon ko pura karne,
jo kabhi kiye the tumne yuhi chalte chalte.


yaad karna jara na aane se pehle,
jaane kab se kar raha hai koi tumhara intezaar yuhi chalte chalte.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts