aaj sabse jada karta hun ussi se nafrat main

ye kya ho raha hai, ye kyun ho raha hai,
kya theek hai, jo kuch bhi ho raha hai?

har aahat par lagta hai kisi ne dil ko pukaara,
dusre hi pal mehsus hua ki jhut hai ye saara.

nahi jaanta kya sach hai aur kya jhut,
gar yun hi chalta raha to jaaonga main apni zindagi se ruth.

woh pyar ke kaabil hi nahi thi,
phir kyun dil uska intzaar karta hai?

woh pyaar ke naam par ek dhabba hai,
phir kyun yeh manne se yeh dil inkaar karta hai?

jis ladki se mujhe mohabbat huyi thi,
woh ladki to kahi kho gayi hai,

jo ladaki mere saamne ab hai,
yeh woh nahi hai jisse mujhe mohabbat huyi thi,

na jaana usne kabhi bhi ki,
kitni mohabbat karta tha unsse main,

lekin ab woh yeh jaan hi le to acha hoga,
ki aaj sabse jada karta hun ussi se nafrat main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts