raahi tu talash mein kiski ja raha hai

raahi tu talash mein, kiski ja raha hai,
kiske liye tu apni, zindagi gawa raha hai,


dil bhi paagal tha itna, jo uspe aa gaya,
jaane kya usmein, tujhko bha gaya,
beeta hua ek ek pal, tujhko tardpa raha hai,

raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

jisko samjha tha tune apna, woh to nikla bas ek sapna,
sapne dekhna chord de, waqt bata raha hai,
raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

zindagi mein dukh ke pal aate hain jaate hain,
aise log aate hain aur jaate hain,
ek aur aaya aur jaa raha hai,
raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

ek deewana kehta hai, yeh achha bura kya hota hai,
koi milta hai koi khota hai, pyar mein sab kuch hota hai,
iss baat pe kyun tu ashkon jaise, moti baha raha hai,

raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts