kabhi kabhi lagta hai,
sab kuch jante samajhte bhi,
log pyar kyu karte hain,
iss choti si zindagi ko,
iss choti si zindagi ko,
aanshuon se kyu bharte hain,
woh jhoothe sapne,
woh jhoothe sapne,
kuch lamhon ki yaadein,
woh tute waade,
woh tute waade,
woh unsuni fariyaadein,
woh zindagi ka ek pal mein bikharna,
woh toofanon se akele guzarna,
woh pal jab jeete banta hai na marte,
aur jaha milti hai tanhaiyon ki saugaate,
aise bhanwar mein insan kyu fans jata hai,
kyu samandar mein apni,
woh zindagi ka ek pal mein bikharna,
woh toofanon se akele guzarna,
woh pal jab jeete banta hai na marte,
aur jaha milti hai tanhaiyon ki saugaate,
aise bhanwar mein insan kyu fans jata hai,
kyu samandar mein apni,
kashti khud hi dubata hai,
sab kuch jante samajhte bhi,
kyu pyar karte hain log,
iss choti si zindagi ko,
iss choti si zindagi ko,
aanshuon se kyu bharte hain log,
mere paas jawab nahi,
mere paas jawab nahi,
isiliye ye sawal kiya hai,
kya kahu maine bhi kisi se pyar kiya hai...
kya kahu maine bhi kisi se pyar kiya hai...
No comments:
Post a Comment