kuch aise badnaseeb bhi hote hain

khwahishen kahaan kisi ki puri hoti hai,
sapno ki hakikat to bahut buri hoti hai,


jitni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki,
darmeyaan utni hi doori hoti hai,

bichard jate hain sathi safar-e-zindagi mein,
mil na paana to unki majboori hoti hain,

milkar bhi bichad jaate hain, 

kuch aise badnaseeb bhi hote hain,
judaai ke aalam mein,
phir milan ki umeed har dil me hoti hai,

mehkta hai unka pyaar ek duje ke sahare,
muskurahat honthon pe jaroori hoti hai,

chehare pe jhooti muskurahat jaroor sajaa ke rakhte hain,
na jaane kaunsi mord pe ek aur gam se mulakaat honi hoti hai,

soch nahi sakte zindagi ko us sathi ke bina,
bichardana to dono ki kamjoori hoti hai,

wajood hi nahi hai ek doosre bina koi,
judaai ki ghatiya chaal wakt ne jo chali hoti hai,

phir bhi chalte rehte hain bina kuch soche,
ek duje ke bina zindagi adhoori hoti hai,

milan hoga jis din chaahat ka apni chaahat se,
us din dekhna duniya ko jalan kitni honi hai..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts