ussi ko hum apna subkuch maan baithe hain

apne halath to ab kuch is tarah ke lagte hai,
zindagi meri ab ek  saza si lagti hai,
ab toh khushion ke armaan bhi na rahe baki,
khushi aaye to kisi ki baddua si lagti hai,

ruthe huye ko manane ka ab shouk bhi na raha,
kisi ko manana bhi ab ek sazaa si lagti hai,
aaiyene mein khudse nazar nahi mila paata hun,
kyu dikhti hai woh surat aaj bhi mujhe,

woh mujhe behadd khafaa si lagti hai,
chupaya dil mein gamon ka jahan baithe hain,
hum teri yaad mein bass bejaan se baithe hain,


yeh baat aur hai ki hum manzil tak naa pahuch sake,
magar hum saare kaaton bhare raahon ko chal baithe hain,

gardish me takdeer humein aur kya satayegi,
luta kar hum apna naam-o-nishaan baithe hain,
ek woh jo mohabbat ki dushman hai,
ussi ko hum apna subkuch maan baithe hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts