aaj samajha hun main

aaj samajha hun main,
kyu darata hai har koi dil lagane se,

sirf bewafayi milti hai,
bhale lard jaao kisi ke liye zamaane se,


aaj samajha hun main,
kyu lardta hai samndar apne kinare se,
sirf pal bhar ki khushi,
hi milti hai kinare ke mil jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu hatta nahi tufan apni zindagi mein se,
jab aandhi hi aandhi hai,
ab uske zindagi mein chale jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu barish girti hai itni sari aasmano se,
dukh hota hai badal ko bhi,
waha pani ke bichad jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu aag nahi bujhti nafrat aur tanhai se,
kyuki aaj zindagi adhuri hai,
meri uske naam ke mit jaane se,


aaj samajha hun main,
koi fark nahi pardta kisi ke reh jane se,
woh khus rahe yuhi bas,
tannha na ho mere chale jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu beh jate hain aanshu har waqt aankho se,
shayad unko khusi mil jaye,
mere aankho se aanshu yun giraane se.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts