woh lamhein yahan bikhar jaate hain

itne baadlon mein kuch baadal sapne kehlate hain,
itne anjaano mein kuch ajnabi apne kehlate hain,

naa bhulenge kabhi woh lamhein, nazar kehte the jo kal tak,
issi kasmakash me woh lamhein yahan bikhar jaate hain,

sachhe hain ehsaas itne, sazde karte har shakhs jahan,
najuk hai ye khawaab itne, jinhein ashkon se sehlate hain,

hain mom ki tarah yaadein humari, jal ker bhi jo jamti rahin,
hai hamari bhi kuch khawaishein jo reh-reh kar pighla jate hain,

hum hain uss nashe mein ab tak, jab yaaron ka sath tha,
ulajh jate hain utna inme, jitna inhein hum suljhate hain,

sochta hoon jab beete pal, kho jata hoon bas wahi,
hothon se muskaye to kya, dil se hum karhaate hain,

guzar gaya waqt haseen to kya, ehsas dil mein hain,
milenge phir kahi jald, yahi soch ker dil behlate hain

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts