monika ji tum nahi aaye

hum baithe rahe aas lagaye, monika ji tum nahi aaye,
hum kaag bhi na baneroyon urdaaye, monika ji tum nahi aaye.

ban badal tum baraste rahe auro ke sehar,
hum reh gaye pyasse-tarsaaye, monika ji tum nahi aaye.

aa gayi hai basant bhi, hain takate tera rashta palakein bichaye.
ab to hum baithe 
baithe murjhaaye, monika ji tum nahi aaye.

kab karoge aapni baahon me kaid mujhe,
hum baith baith hain pathraaye,  
monika ji tum nahi aaye.

woh aa gayi, woh ab to aane hi wali hai,
dil baar baar ye sapane dikhaaye, 
monika ji tum nahi aaye.

mudaton baad kal sone ki kari thi koshish,
par tere khayalon ne baar baar jagaaye, monika ji tum nahi aaye.

aisa howe ki tujhe bhi aaj raat nind na aaye,
pyar mera tujhe bhi ek din to rulaaye, monika ji tum nahi aaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts