talashti hai har taraf bus aapko hi yeh nazar

jaadu yeh kaisa kar diya apne hum per,
talashti hai har taraf bus aapko hi yeh nazar,

aap ek pal bhi khayalon se juda hoti nahi,
aapki baaton ne kar diya hai yeh kaisa asar,

jeena barda mushkil hua jaata hai ab,
na hosh hai subah ka.. na sham ki khabar,

samne betho zara nazro me nazre dal kar,
dekh lo ek baar hai bekarariyan kis kadar,

ek hi hai arzoo jab aap hon bahon me meri,
ruk jaye woh lamha wahi thehar jaye woh pehar,

jaadu yeh kaisa kar diya apne hum par,
talashti hai har taraf bus aapko hi yeh nazar.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts