iss tannha sagar mein

main lamha dar lamha dard pita raha,
dard na jaane kab mujhe pi gaya,

tardap tardap ke aahein nikalti rahin,
na jaane kitni maut aayi, main yun hi marta gaya,

shaya raato sa andhera har dam chhaya raha,
har gam kehar ban kar mujkho lootata gaya,

main tinko ke sahare me zindgi dhoondta raha,
na jaane meri aas ka deepak kab bujh gaya,

kuda ke dar pe maine kitne sazde kiye,
kitni umeedo se mannate maanga kiya,

aaj khuda ki thokro se hi behaal hoon,
ghor andhero ke shaayo mein yun kho gaya,

aaj simmat sa chuka hoon gam ke dheir mein,
in lakiro aur badnasibi ke khel mein,

antim saanse bachi hai bas iss tannha sagar mein,
chunande maut ke nakhre dekhna abhi baaki hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts