maut par bhi aanshoo dikha jaate hain log

ek hi dil mein hazaron ko basa lete hain,
par jagah ek ko bhi nahi de paate log,

kiraye ka makkan bana ke rakhte hain dil ko apne,
aur apna hi aashiyana bhool jaate hain log,

khair yeh baat to koi nayi nahi jisse koi yaad rakhe,
jo kare the waade kasam kha ke jab unko bhool jaate hain log,

pyar ke geeton pe jo jhoomte hain deewane hokar,
kyun ussi ke dushman ban jaate hain log,

pardte hain shlok-aur-kalma pyar ka din raat,
aur ussi ko sooli pe latka jaate hain log,

kayi hain fasane yahan sacche pyar ke,
jinko suna nahi paate hain kisi ko log,

jeete jee khushi dekhne nahi dete kisi ko,
maut par bhi aanshoo dikha jaate hain log.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts