mujhe aadat hai fisal jane ki

tayari hai aaj kahin jane ki,
doston se milne milane ki,
chalta hun jara waqt se pehle,
mujhe aadat hai fisal jane ki..

hun raftaar ka rahi main,
koshish hawa ko harane ki,
naa hai koi mujhse aage yahan,
par mujhe aadat hai fisal jane ki..

pahunch gaya hun sabse pehle,
pardi jaroorat phone ghumane ki,
ki arre yaar tum jaldi aa jao na,
ki mujhe aadat hai fisal jane ki..

aa pahunche jald hi mehman sare,
na khabar mili kisi haseena ke aane ki,
tha bechain ye dil ki koi to milega,
ki mujhe aadat hai fisal jane ki..

beeti ghadiyan tham gaye nazaare,
waqt tha sabse rukhsat keh jane ki,
tha dil murjhaya ki koi na mila,
par mujhe aadat hai fisal jane ki,

tha udas un tannha rahon pe main,
roka kisi ne, dikha wardi thane ki,
bahut urd rahe ho bina helmet ke,
chalo baari hai chalaan katwane ki..

chal parda phir sune dil ko liye,
bhari thi udas dil ke machal jane ki,
rah pe dekhi ladkiyan darjan bhar,
ki mujhe aadat hai fisal jane ki..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts