ab waqt bacha kahan hai

na aa sake laut ke koi, aisa mera jahaan hai,
mere jane mein ab waqt bacha kaha hai,

do ghunt aur gum ke zindagi pee lun jaraa,
tut kar bikhar jaye jo, woh armaan kahan hai,

lafzon ka dher woh meri dastan-e-zindagi hogi,
baad mere puchenge, inka ashiyana kaha hai,

kis marz ka maara hun, ye paheli hai yaaron,
pata karo uss dard se, ki tera thikana kaha hai,

kash kisi ke seene pe chain pata saccha pyaar ka,
chingari wo cheekh rahi, isse jalaana kaha hai,

hosh ki baat kya, behoshi ka pehlu kismat mera,
nazrein band kar khamosh chale jana kaha hai,

na aaunga kabhi laut ke, aisa mera jahaan hai,
main jaa chuka hun, ab waqt bacha kahan hai..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts