janam din mubarak ho

aaj mera janam din tha,
main intezaar karta raha,
din se raat ho gayi,
aur main chalta raha,


barish mere badan ko bhigoti rahi,
aur tann andar hi andar jalta raha,
magar mein chalta raha,
intizar karta raha,

ki shayed…
kahin se koi jaani pehchani si awaz,
mujhe pyar se bulaa kar kahe,
janam din mubarak ho…!!

magar aaj to har taraf balaa ka sanaata tha,
pure mohalle ne mere janam ke shouk mein,
apne apne gharon mein roshni bhi nahi kiya,
har taraf khofnaak andhera tha,

iss andhere mein, 

barish ka shor,
patton ki khar kharahat,
hawaa ki siskiyaan,
aur bijli ki chamak ne,
mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,

mera dil ghabra gaya,
subah ka bhoola tha iss liye,
shaam ko ghar aagaya,

kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,
mere intezaar me meri tannhai thi,

us ne aa kar mujhe sahara diya,
phir apne naazuk bajuon mein samet kar,
mujhe mere bistar tak le gayi,

mera sar apni gaud mein rakh kar,
mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,

phir dheere dheere mere kaan mein gungunane lagi,
janam din mubarak ho,
janam din mubarak ho,

duniya walon se kitni achi thi,
meri tannhai,
meri udaasi,
meri veerani,
meri mehbooba…!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts