na jaane woh mujhe aawaz kyu nahi dete

unhein maalum hai woh bulayenge to mein jarrur aaunga,
na jaane phir bhi woh mujh ko aawaz kyu nahi dete,
chahate to woh bhi hain ki milan ho hammara,
aisha hai toh phir raashte ki har deewaar kyu gira nahi dete,

main na lardunga.. na lard-khadaunga, ye waada hai tumse,
tum ek jaam mujh ko bhi nighahon se peela kyu nahi dete,
daawe toh bahut karte hain log mohabbat mein yahan,
phir badale mein wafaa ki wafa kyu nahi dete,

tum kehate ho ki main mujarim hoon tumse mohabbat ka,
main gar junah-gaar hoon to mujhe sazaa kyu nahi dete,

kab tak chuppaye rakhunga, 
kab tak sambhaale rakhunga,
log puchte hain ki inn aaskoh ko aankho se bahaa kyu nahi dete,
jab yeh sach hain ki woh tumhein chhord gayi hai,
to phir yeh baat duniya ko batta kyu nahi dete...


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts