gumnaam hi rehne do mujhe

mangta hoon pyar tum se nafraat to naa do,
gar saath naa de saako to yeh gham-e-halat to naa do, 

tum mujh se pyar naa karo mujhe ghum nahi,
tum mere baare mein socho yeh koi kum nahi, 

main koi badnaseeb nahi.. mujhe barkat to na do,
gar pyaar na de sako to nafrat to na do. 

mujh par tum ehsaan karo, aise mere haalaat nahi,
par yeh to na kaho ki dil mein mere liye sawaalat nahi. 

apne nashe mein dooba ki yun ab awaz to na do,
inn toote hoye taaon ke be-aawaz saaz to na do. 

tum phoolon ke saaz na de sako to, kaanton ke malaal to na do,
veerano mein rota hoon yun hans-hans kar ab zaher to na do. 

tum soo jaao aur main raaton ko jaagta rahoon,
banwraa ban chand sitaron ke sang bhagta rahoon, 

har khushi ab tumhare liye ho, mujhe ab gham to na do,
main hoon aabad nahi barbaad, yeh bharam ab to na do. 

mujhe pyaar na de sake to aur nafrat to na do,
gumnaam hi rehne do badnaami ki sohraat to na do.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts