woh bhi kya din the

woh bhi kya din the.. sotey the tere aachal ke taley,
aaj kafan ko tarsti padi hai laash meri tere dar pe, 

woh bhi kya din the.. jab milke phir milne ko tarste the,
aaj beet gaya zamana jhalak teri dekhe hue, 

woh bhi kya din the jab.. soti raato mein jaga kiye the,
aaj sone ko tarsta hai dil ki dekhun tujhe khawab mein, 

woh bhi kya din the.. hansi teri misri ghol jaati thi,
aaj aawaz sune bhi teri taraste baithe hain, 

woh bhi kaya din the.. jab hum sang muskurate the,
aaj rone ko bhi kandha dhundhte hain. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts