iski bhi koi wajah to nahi

tujh ko chahun.. koi wajah nahi,
bhool jaun tujhko, iski bhi koi wajah to nahi. 

jeeyun hans ke.. koi wajah nahi,
bahaun aanshu, iski bhi koi wajah to nahi. 

pyar to tha kuch humare beech.. be-wajaha nahi,
jo doori hai aaj darmiya humare, iski bhi to wajha nahi. 

kashmakash jo hai tere chehre pe.. usko koi wajah nahi,
kayam rahe dosti humari, iski bhi koi wajah to nahi, 

mile hum phir kabhi.. koi wajah nahi,
umeed rahe baaki milan ki, iski bhi koi wajah to nahi .

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts