hum yaad tumhein aaj bhi karte hain subah-aur-shaam

kya-kya khayaal jee se guzarte hain subah-aur-shaam,
zakhm naye dil mein ubharte hain subah-aur-shaam. 

sadiyaan guzar gayi hai tumhein bewafaa hue,
hum yaad tumhein aaj bhi karte hain subah-aur-shaam. 

reh-reh ke chaunk-chaunk ke main neend se jaagun,
ban-ban ke mere sapne bikharte hain subah-aur-shaam. 

jab-jab teri yaadon ki ghataa dil pe chhaayi hai,
baadal meri aankhon ke baraste hain subah-aur-shaam. 

pal-pal main dekhta hoon uth ke raahguzar ko,
naina teri dedaar ko taraste hain subah-aur-shaam. 

mat poochiye kya aalam-e-khwaab aur ummeed hai,
angaar se seene mein dehakte hain subah-aur-shaam. 

aakhri baar jab chhua tha tere phoolon se badan ko,
ke haath ab bhi mehakte hain mere subah-aur-shaam. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts