zamana karta hai baatein main dil pe nahi leta

zamana karta hai baatein, main dil pe nahi leta,
uska ungli utha dena, mera dil thord deta hai. 

jaane kaisa safar hai yeh manjil-e-mohobaat ka,
jahan par dard bhi uska saath chord deta hai. 

main karta hoon kosish hasne ki,
magar yeh dekhna uska yaad se jord deta hai.

woh karti rehti hai fariyaadein mere marne ki,
apno ki dua ka baadal maut ko mordh deta hai. 

nahi bharta hai dil kyun uska mujhe tardpane se,
hevaan bhi dekh ke halaat sitaam chord deta hai. 

zamana karta hai baatein, main dil pe nahi leta,
uska ungli utha dena, mera dil thod deta hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts