na koi bhi mera ho saka,
main hoon kafia jo bikhar gaya,
na ghazal mein koi piro saka,
mere ashq-e-gham to bahe magar,
main na dil kisi ka bhigo saka,
koi aankh gadi thi jheel si,
na main khud ko us mein dubo saka,
ab dil nahi hai yeh sang-e-dil,
koi gham na isko chubho saka,
jise baazuon pe naaz tha,
zulfon ka bhar na dho saka,
ashq-e-wafaaon ka kafila,
daagh-e-jafa ko na dho saka,
nagma-e-ishq bahut likhe,
koi beej-e-ishq na bo saka,
hua haal kuch aisa ki,
na main hans saka na main ro saka.
No comments:
Post a Comment