aisi bhi hoti hai khamoshiyaan

dhadkane jab badhne lage,
aur saansein bhi shor karne lage,
nazrein jab kisi ki nazaron mein rukne lage,
sare-alam ki hulchul jab thamne lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan. 

dil mein jab bechaini badhne lage,
bin kahe sab kuch samajh aane lage,
saari duniya ka hosh jab khone lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

koi apna jab khud se door hone lage,
kehne ko jab koi alfaaz bhi na rahein,
kuch hone ki umeed bhi khone lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

kisi ke sawaal mein har jawaab nagawaar hone lage
band aankhon se bhi tasveer dihayi dene lage
nazrein jab ahista ahista se nam si hone lagein
aisi bhi hoti hain khamoshiyaan.

koi kisi ke liye hai jeeta,
par kisi ko iski khabar bhi nahin,
ban ke hawa koi saansein hai deta,
aur kisi ko iski kadar bhi nahin. 

koi sajde lakh karke
kisi ke liye dua hai maangta,
aur kisi par asar bhi nahin,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

chahkar bhi keh nahin payein,
aur zara sa sabar bhi nahin,
bas samajhne ko hi reh jaaye,
aur kehne ko kuch bhi nahin,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts