woh baatein yaad aati hain

tumhari woh mohabbatein, tumhari woh chahatein yaad aati hain,
tumhari woh waadein, tumhari woh kasmein yaad aati hain, 

main jab bhi dekhta hoon tanhai mein tumhari tasveerein,
tasweeron mein tumhari adaein yaad aati hain, 

tum jo kerti thi akser wafa aur pyaar ki baatein,
tumhara woh ahad-e-wafa aur woh baatein yaad aati hain, 

tumhara woh mere bagal mein baith kar humein baar baar dekhna,
tumhara woh chhip chhip kar dekhna aur woh ankhein yaad aati hain, 

tumhara woh scooty par mere piche baith mere kahdhe ko pakadna,
ab jab bhi scooty par nikalta hoon to woh rahein yaad aati hain, 

kabhi mujhse bhi pucho iss naye mohabbat ke andaaz,
jisse iss mohabat ki har woh lamhein yaad aati hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts