ban megh kisi din anna tum

mere sukhe jeevan mein ban megh kisi din aana tum,
banjar se iss uppvan mein aa jee bhar jal barsana tum, 

main rishto ke kis bandhan mein fassa huwa hoon,
dhhart’rastra si zakkdan mein kassa huwa hoon,

anne se pahle roz ki tarah, bas payal ko chhankana tum,
ban megh kisi din aana tum. 

bhid bhari iss duniya mein kab jaane chhuta sath tumhara,
mujhko khawabon mein dikhta hai, nimantran deta hath tumhara, 

mar jaun kisi din intezaar mein tumhare to aanshu na bahana tum,
ban megh kisi din anna tum. 

neeersta ke es pal mein ban madhumas tum aa jaao,
na dikhe tum bin koi aur mere chahun aur tum chaa jaao, 

dhool chadi hai yadon pe, jara aanchal to lahrana tum,
ban megh kisi din anna tum, 
ban megh kisi din anna tum

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts