ek din achanah hi phone aa gaya uska

ek din achanah hi phone aa gaya uska,
lehje ki malumat se ho raha tha sab zahir, 

ro rahi thi shidat se ladkhadate lafzon se,
kar rahi thi baatein woh tum kahan the itne din?

roz phone karti thi ki baat tum se karni hai,
jo bahut zaroori hai, 

khush nahi hoon main bhi kuch, 
pyaar tera thukra kar sara din tardapti hoon,

chain hi nahi milta, 
jagti hoon raat bhar main, 
neend hi nahi aati,

 jo nahi kaha kal tak, aaj tum se kehti hoon, 
pyaar tum se karti hoon. 

maine phir kaha usse, 
main na kehta tha tum se..
ek din tumhein aana hai laut kar tumhein wapis,
kaise tum bina mere zindagi guzarogi,

zinda tum rahogi par zindagi na hogi woh,
ek ek lamhein mein yaad meri aayegi,

doosri taraf se phir keh-keha sa aaya ek,
aur woh kehne lagi tum bhi kitne pagal ho,
jante nahi itna.. aaj ‘first april’ hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts