ek pal mein de diye, kya kya ilzaam apne,
khun-e-dil ankhon se tapka, na dekha apne.
meri palko ki mandaro pe, koi ronak hi nahi,
dekh lo ashko ka chirag, na dekha apne.
hai shakk se bhara charo taraf samundar hi samundar,
jo umeed se badhaya haath, na thama apne.
koi akar mujhe le jaaye door kahin,
kyun roz dua mein khuda se, yehi manga apne?
nahi jaati mere badan se apki pyar ki khushbu,
mere khawabon ki basti ko, jo yun sajaya apne.
ehlaad-e-wafa ko apni main kaise bayan karu,
haan! chala aunga main mar ke bhi, jo kabhi pukara apne.
meri himmat hi na hui ke paas bitha ke main puchhun,
kyun tardpa ke mujhko, khud ko bhi tardpaya apne?
mana ke kuch pata nahi, manzil hai ab kidhar,
jo bichhde hain woh milenge, yeh mana hai apne.
wapas palat ke ayega, gaya pal woh ek din,
apne humsafar ki aas mein, diya jo intezaar apne…

No comments:
Post a Comment