meethi-meethi teri yaadon ke sahare, waqt apna ab main bitaane laga

pal pal ab dil mera,
khayalon ki duniya mein kho jaane laga, 

nasha yeh tere pyar ka,
kuch iss kadar mujh par chhaane laga, 

ab zikar sirf juban par tumhara hi aane laga,
par juban ko kya dosh doon yaaron, 
jab chehra aankhon ko tumhara hi dikhayi dene laga.  

tumse milne-milane ko,
kuch kehne-kuch sunane ko,
ab hazaron bahane dil mera banane laga, 

dil akela shamil ho to kuch karoon yaaron,
be-mausmi hawaon ka, rangeen fizaaon ka, 
ab mausam haseen kuch jayda lagne laga, 

ab main udaas ho jaane laga, 
ho raat ka andhera, ya din ka ho ujaala,
meethi-meethi teri yaadon ke sahare,
waqt apna ab main bitaane laga. 

nasha yeh tere pyar ka,  
kuch iss kadar raaj par chhaane laga,
subah se shaam aur shaam se subah,
ab to dimag bhi naye-naye tarike sujhane laga.

na paa ke sang apne tujhe,
ab sapne khuli aankhon se main sajaane laga. 

dil yeh chota bacha hai

dil yeh masoom chota bacha hai,
yeh bada na hua to acha hai,
isspe pabandiyan nahi kuch bhi,
yeh to do saal ka mano bachcha hai.

iss ko koi fikar na faka hai,
yeh to har haal muskrata hai,
manta yeh nahi jahan ki rasmein,
yeh to bas pyaar chahata hai.

pyaar deta hai pyar chahata hai,
pyaar se bas iss ka nataa hai,
zindagi bhar rahe yeh bacha,
har ek insaan bas yeh hi chahta hai.

jeene ke liye yahi kaafi hai

woh bewafaa ho gaye iska koi ghum nahi,
usne chaha tha kabhi humein,

jeene ke liye yahi kaafi hai.

aaj door hai nigahon se kisi aur ke aagosh mein,
usne thama tha mera bhi haath kabhi,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

woh mukar gayi apne kiye har waade se koi gila nahi,
usne pochein the meri aankhon ke aanshu kabhi,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

khush hai aaj woh barbaad kar ke humein koi ghum nahi,
tardpe the kabhi woh bhi intezaar mein mere liye,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

aaj baras raha ho saawan aur
dil mein kyu na mere pyaas ho,
woh bhi tannha thi kabhi bin mere,
jeene ke liye yahi kaafi hai. 

patthar dil bani teri duniya

dard aur dukh se bhari teri duniya,
bhuk aur pyaas se mar rahi teri duniyaa,

aaj majboor hai budhi maa sab ki,
unko thukra rahi teri duniya,

baap-bete aur bhai-behen,
nafratein palti teri duniya,

aaj lagta nahi kuch bhi achha,
patthar dil bani teri duniya,

pyaar jazbaat aur khuddari,
jaau mein sab kuch laga rahi teri duniya,

bhej de tu ab to koi avtaar,
jo saware aaj teri duniya.

aye zindagi tujhse bhi mil lenge kabhi

aye zindagi teri talaash thi humein,
par teri talaash mein humne khud ko kho diya,

ussi raah par jahan hum dhund rahe the tujhe,
uss raah par humein woh mil gaye,

woh jise paakar aisa laga jaise mujhe manzil mil gayi,
aisa laga jaise mujhe zindagi mil gayi,

jo tujhse hota basar yeh zindgaani,
wahi sab kuch humein unse mil gaya,

paa kar phir usse humne,
teri talaash ko dafn kar diya,

khush hoon main inhi haalaton mein,
jo usne mujh ko hain diye,

hain chahe dard ke kaantein apne daaman mein,
par chahat ke phool bhi ussi se hain khile,

sochta hai raaj kyu na usse zabt in nigaahon mein kar loon,
chahe door chale jaaye woh kabhi,
par jab chahe main unka didar kar loon.

raha gar waqt meharbaan to hum phir bichdenge na kabhi,
gar diya khuda na phir kabhi dusra janam,
to aye-zindagi tujhse bhi mil lenge kabhi. 

ek wada jo humse nibhaya na gaya

ret par likha jo kabhi naam, woh sagar mein beh gaya,
khawabon mein jo banaya tha, kabhi armano ka mehal,

khuli jo aankh, ek pal mein hi tut gaya,
mana tha jise kabhi apna, woh nikle harjaayi,

tord kar mera dil, woh muskura kar chale gaye,
kar na sake hum to koi bhi gila unse,

woh ek umr.. jo humein tardapne ke liye de gaye,
raha dil mein mere.. pyaar bachpan ka ab tak maujood,

par woh beraham dekar apni kasam, 

sab kuch bhool jaane ko keh gaye,

huyi hai humse ek khata jo unka pyaar,
unki yaadon ko dil se bhoola na sake,

bas yahi ek wadaa hai jo,
mohobbat mein humse nibhaya na gaya.

maine dekha phir woh sapna

maine dekha phir woh sapna,
haath mein uske haath apna,
chahat ki kuch baatein bhi,
chori chupke mulakaatein bhi,

woh sharmayi si thi kuch,
aur main bhi tha kuch behka sa,
jaane kyu kal soo kar bhi lage,
jaise mujhe neend na aaya tha,

pyaara pyaara tha mausam,
aur mehki thi kuch hawayein bhi,
raat akeli ne bhi thi ordhi,
chaandni ki chaadar bhi,

dekh mujhe kuch ghabraayi si,
usne liya baahon mein tha thaam
kaise keh paauon mein labzo mein,
kaise guzari thi kal ki raat,
maine dekha phir woh sapna. 

shukriya mere haathon se apna haath churdane ka

shukriya tere chrod jaane ka,
mere haathon se apna haath churdane ka,

jab tak tu thi saath to tha main tannha,
shukriya apni yaadein mujhe de jaane ka,

woh bhool jo ki thi humnne wafa nibhane ki,
shukriya bewafaai ka ilzaam humein de jaane ka,

tu rahe khush humesha tujhe chain-o-sukun mile,
shukriya mere dil ko tardapne ke liye chord jaane ka,

tu bhula de humein chahe de ilzaam berukhi ka,
shukriya humpar kuch to hak jataane ka,

raaj karta hai intezaar aaj bhi ussi raaste par
shukriya umra bhar ke liye beech rah mein chord jaane ka,

pahucha kar humein sagar ke kinare tak
shukriya phir humein ghum ke tufano ke hawale kiye jaane ka.

tere sehar mein wapas aayein hain

mujhe ghum dene waale sun,
mere muskurane pe na jaa,

meri aadat si ban gayi hai ab hasna,
yun chehre ke chalawe par na jaa.

koshish to bohot ki thi tune mitane ki magar
mit kar bhi hum mit na paayein hain,

shayad afsos hoga tujhe mujhe dekhkar
ki kyu hum tere sehar mein wapas aayein hain,

to mat kar tu khauf, ki tujhe badnaam na kareinge,
tujhe kabhi pyaar kiya tha aur pyaar hi karenge,

meri to rahegi yahi tamanna ki duniya ki har khushi tujhe mile,
mujhe zakhm dene wale tujhe har khushi mile. 

har waqt har gadi, tera gham sath-satth mila

tu nahi hai to kya hua, gazal ka saath mila,
tune to chhod diya akela, sher-o ka saath mila,

jab bhi tere bare mein socha, dil ne paya kya?
har waqt, har gadi, tera gham sath-satth mila,

raaton ko jagna meri aadat nahin, yeh to raaz hai,
ummed bani hai tabse, tera paighaam uss raat mila,

saari zindagi tera aanchaal thamke rota raha hoon main,
chaukun nahi jo, mere katal ka saman tere ke paas mila.

kaun karega iss desh ka udhhar

kal main dekh raha tha tv pe news,
urd gaya dekh ke mera bhi fuse,

badh gayi hai mattra balatkar ki iss desh mein,
kaun hoga balatkari, kaise aayega, kis vaish mein,

akeli naari ka sadak pe niklana bhari hai,
har insaan ko dekhti hai sakk ki nigah se,
jaise koi balatkari hai.

kya rah jayega insaan ka mol,
bhari hai jaha balatkarion ka mail-jol,

police bhi nahi karti hai iss problem ko solve,
kuch hadd tak inka bhi hai ismein gappa-gol,

kaun tordega iss desh ki system ki poll,
jinke pas hai takat aur paisa, unka yaha raaj hai,

iss desh ke aise hi nagrik hain aur wohi bhardwaaj hai,
har gunah yaha paise aur takat ke samane chhota hai,

aur aam aadmi yaha bin paide ka lota hai,
har insaan ko yaha jagrukh rahena padta hai,
aur police kambal ordh kar sota hai.

paidaishi har bhoj woh jhel raha hai,
aur balatkari har naari se khel raha hai,

kaun karega iss desh ka udhhar,
gunehgaar khade hain jaha har dwaar,
balatkarion ki jaha hain bharmaar,
aur har aadmi hai jaha laachar..

yeh kaisi jang humne ladi hai.

dhool mein dabe huye, waado ke fasane,
aaj bhi hai kayam, par kisi ne na jaana,
ki kisi ke intezaar mein aaj bhi khadi hai,
yeh kaisi jang humne ladi hai.

gareeb ho gaya yeh shahar tere jaane ke baad,
kuch bhi mila nahi mere yahan aane ke baad,
waqt ke hath bas, ek yaad gheri padi hai,

yeh kaisi jang humne ladi hai. 

woh pagdandi,  jo gawah thi hamare payar ki,
kabhi baitha karte the panah mein uss deewar ki,
mazbooriyon ki aaj mere hathon mein hathkdi hai,

yeh kaisi jang humne ladi hai. 

kuch lamhon ka hi sahi tere payar ka ehasaas,
judai ka gham aur mera yeh dil sadiyon se udaas,
phir bhi koi kya jaane yeh dolat kitni badi hai,

haai.. yeh kaisi jang humne ladi hai. 

na jaane kyun aaj baar baar yaad teri aayi hai

woh atit ke gehare samundar mein samayi hai,
na jaane kyun aaj baar baar... yaad teri aayi hai.

aaj phir koi khol gaya darwaja uun yaadon ka,
aaj phir koi mangta hai hisaab unn waddon ka,

aaj koi nata na sahi, magar mera ek hissa the tum,
meri veeran zindagi ka ek, khushnuma kissa the tum,

waqt se na a kasi, yeh saza, humne payi hai, 

na jaane kyun aaj baar baar... yaad teri aayi hai. 

woh chupke-se mere ass-pass anna tera,
woh saheliyon se chipkar piche se hath hilana tera,
woh achchanak samane aakar aksmat muskurana tera,

woh chai ka cup aur hath ka niwala mujhko dikhana tera,
waqt se iss dil ne bahut sard chot khayi hai,
na jaane kyun aaj baar baar... yaad teri aayi hai.

hum kuch keh na paaye, woh waqt ki kami thi,
yaad hai.. kyun us din teri aankhon mein nami thi,

kuch pal hi sahi humare kadmon talle na jami thi,
zindagi bhi shayed kisi anhoni se sahmi thi,

aur kya kahun... bas meri annkh bhar aayi hai,
na jaane kyun aaj baar baar.. yaad teri aayi hai.

sanam teri yaadein

iss bheegte mausam mein beegte hum,
aur bheeg jaati hai.. sanam teri yaadein.

soochte hain hum sooche na tumko kabhi,
par tannhai mein bulati hai.. sanam teri yaadein.

yun to aag se humein darr bahut lagta hai,
par humein jalati hai.. sanam teri yaadein.

aapse dooriyaan to jaan le ke jaayengi,
yeh humein batati hai.. sanam teri yaadein.

chand yaadon ke saath mujhko alvida keh gayi

woh royi zar-zar ki bichardna tha humara,
pata nahi kyun.. janate the woh na milenge dobara,

hum dard seh rahe the,
unke ashq beh rahe the,

marr bhi jaata shayed to ek baar sahi tha,
na rok paaya unko, mere haath mein nahi tha.

ek nazar mujhko dekha aur murd kar dard seh gayi,
chand yaadon ke saath, mujhko alvida keh gayi. 

man ki baatoon ko kisi ko bataya nahi jaata

tannhai ke alam mein kisi ko rulaya nahi jaata,
kisi ki yaadon ko yaadon se bhulaya nahi jaata,
pyaar to sirf man mein hota hai
aur man ki baatoon ko kisi ko bataya nahi jaata.

teri yaad mein bheegne ko har pal taraste nain,
naino ki khamosi ko sunaya nahi jaata,
tujhse judaai dil mein naasoor ban chuki hai,
yeh dil ka naasoor hai dost.. kisi ko dikhaya nahi jaata. 

ghamo ne khareed li kismat humari

ghamo ne khareed li kismat humari,
phir bhi humein to aapni kismat par naaz hai,

ruk jaati hai kuch pal baad khushi ki laher,
par ghamo ke saye ka har pal aagaz hai,

deta har pal saath tumhara palkein bichaye yeh,
phir kyun tumhari nazar se yeh nazar andaaz hai,

ghamon ne khareed li kismat humari,
phir bhi humein to aapni kismat par naaz hai,

tannhai mein yeh tumare saath tannha hota hai,
chup chap baith kar tere saath rota hai,

maana sabhi ko tera dil bahal jaata hai,
par ashq nikalaate hain jab, yaad woh aati hai,

tumse pyaar jatane ke yeh iske andaaz hai,
par khusi se bachana yeh gham ka raaz hai,

ghamo ne khareed li hai kismat humari,
phir bhi humein to aapni kismat par naaz hai. 

yahan muskaan ka bhi daam lagate hain log

phir se kyun ussi bazar mein mujhe le jaate hain log,
phir wohi gali, woh rasta mujhe dikhate hain log.

dekh kar hi dil phir se ghabra jaata hai,
yahan muskaan ka bhi daam lagate hain log.

bharte tum ko nigahon mein apni,
sunhare sapne tumhein dikhate hain log.

pyaar tum se phir jatate hain log,
jee bhar ke tumko hasante hain log,

phir uss muskaan ka bhi daam lagate hain log. 

yeh ishq kabhi na marta hai

karlo chahe kitni bhi koshish, 
yeh ishq kabhi na marta hai,
din guzrati hai, raaten bit jaati hai,
par yeh dil issi tarah dhadakta hai.

karte hain kitne pakke irade,
ki chahenge na usko hum,
par jab bhi tannhai milti hai,
dil yaad ussi ko karta hai.

woh kare humpe kitne sitam,
yeh dil kuch na keh pata hai,
ho kitni bhi burai unmein,
har sitam mein unka bhala dikhta hai.

maan sakta hai dil har baat,
har kathin safar tay kar sakta hai,
par sath na ho jo humdam gar,
to judaai se hi bas mar sakta hai.

yuh to milti hai khushiyan kitni,
par iss khushi ke jaisi koi khushi nahi,
mangle jo jaan bhi woh pyar mein,
to hans ke woh de sakte hain.

kahte hai log ishq na kar,
iss ishq mein nikamma ho jayega,
par sach to yeh hai jo ishq mile,
to hi yeh dil kaam ka banta hai.

ghum mile khushi mile,
kuch farq itna nai padta hai,
yeh ishq hi aisa jazba hai,
jo chaknachur kar deta hai.

hai ishq mein itni takat ki,
yeh buraai har dilse door kare,
iss ishq ka dard milne par hi,
yeh dard ka matlab samjhta hai.

phir dene se pahle dard kisiko,
yeh dard apna yaad karta hai,
deta nahi phir dard kisiko,
bas khushiyan phir baatne lagta hai.

yun hi baatoun batoun mein

yun hi baatoun hi batoun mein,
mujhe usne bataya tha,

mohabbat karne wale, pyar mein dhoka nahi kerte..
koi jab baat kerta ho, usse tokka nahi kerte..
jisse jaane ki jaldi ho, usse rokka nahi kerte..

yunhi baatoun hi batoun mein,
mujhe abb yaad aaya..
unhein jaane ki jaldi thi.

tab yaad tumhari aati hai

jab log nazar na aate hain,
tab yaad tumari aati hai,
jab manzar sab kho jaate hain,
tab yaad tumhari aati hai,

jab door ashma par laali ho,
jab sham udaasi wali ho,
jab jasbaat ka daman tutta ho,
jab aas ka daman chhuta ho,
jab apne dard sataate ho,
tab yaad tumhari aati hai,
tab yaad tumhari aati hai.


jab chanda jhalak dekhlata ho,
jab suraj dhoop nahata ho,
jab sawan ghir ghir aata ho,
jab thand ka mausam aata ho,
jab bahar hamein hasati ho,

tab yaad tumhari aati hai,
tab yaad tumhari aati hai.

left me half dead

left to die with little in tack
all of the words you said,

sucked the life out of me.

every I love you made a tear fall,
which lead to an overflow for my tearducts,

every I miss you made my chest start pounding
like I was on drugs,

every I want you made me want to vomit,
every consonant and vowel out of my memory,
every I promise was a headache
like someone took a jackhammer to my head.

every time I heard your voice
I wanted to cry but I couldn't
because you were not worth my tears,

or maybe it was just because
you had killed me softly, and
everyday it was slow and painful,

but you didnt kill me, you were
too scared all you did was
leave me half dead! !

meri zindigi ki kahani bas yun hi chalti hai

jal jal kar bhujti hai, bhuj bhuj kar jalti hai,
zindagi ki kahani bas yuh hi chalti hai,


chupa saku na shayad aapna gham chupane se,
kabhi bat bat pe kabhi kahe bin,
koi mauka diye yeh hi chalakti hai,
meri gham bhari rahein yuh hi parwan chardti hai,

shamein raushan tha meri zindagi mein jiska,
aab to uski yaad mein yun hi tardapti hai,
meri zindigi ki kahani bas yun hi chalti hai. 

two cup of tea

do you like a cup of tea?
a nice refreshing brew
I find that one is not enough
and often I need two.

when I hear the kettle call
one click the waters boiling,
at once I pour it on the leaves
before the brew be spoiling,

I take it to the table
without a single splash,
to rest beneath its cosy
and leave it there to mash.

the larder holds my biscuits
a simple little snack,
they soak up my first cup of tea
and now I am going back. 

maine aaisa kab socha tha

jiski aakh ke ek aanshu par main puri raat rota tha,
mere kandhe par ser rekh kar roygi woh,

maine aaisa socha tha.

uski hasi par lakh aahein kurban kerta tha,
uski bat par main jaan nisar kerta tha,
usse main kitna pyar kerta tha,

uski majbori aisi huyi ke main aakela reh gaya,
uski yaadon mein main aaisa kho gaya,
usse na mila dobara iska gham nahi,
lekin kya hua mujhe ki main khud se kho gaya.

apni dhun mein hum yunhi chalte gaye

raahein murdti gayi, hum bhi murdte gaye,
manzil nahi pata, magar chalte gaye,

thakne par kahin aaram kar lete the,
khud-bakhud apne haalaat sambhalte gaye,

pasine se hum hadd tak naha hi chuke the,
haalaat aise the ki hum chalte gaye,

mushkile aati rahin, magar pata na chala,
bas apni dhun mein hum, yunhi chalte gaye.

a castle in the sand

my pride is like a castle in the sand
washed away by hope and need and pain.

you left me holding someone else’s hand,
and now you stand alone in midnight rain.

I want you back again if you want me,
I am ready to rebuild what we have lost,

as the owner of a dream swept out to sea
builds back upon the beach despite the cost.

my love for you is stronger than the waves,
stronger than the doubts that we may share,

if you will say the word that my heart craves,
I’ll find some flowered field and take you there.

and time will sweep this interlude away,
it will barely be a memory someday

yeh khwabo ka sehar hai

yeh khawabo ka sehar hai,
ya hai kabristan yeh dil ka,
safar lamba hai raahon ka,
thikana hai na manzil ka.

yahan har mord par armaa
kuchle hain kisi ne kyon?
hai laashe anginat phirbhi
nishan koi na kaatil ka.

kabhi khawabo mein aawaz bulati hai,
un rahon mein bada hi dard ka alam hai,
unki in nigahon mein hai.


aashu ke har ek katre mein dardon ka samunder,

unki har zakhmo ki ho tarpan teri pal pal ki aaho mein. 

an amazing thing called heart

amazing is this thing called heart,
gets close to someone even miles apart,
mind removes every memory form it,
still there are feelings which fail to part.

maintaining the right balance

I always thought I was good at handling relationships,
as each relationship I made was close to my heart,

love obviously was there care, 
I did and understanding, 
I tried to maintain were these the only requisites? 
no there is more to it.

relationships I had heard go deeper and deeper with time,
but the more I was getting in the more I felt uneasy,

I don’t know why but I wasn’t feeling good,
just wanted to break free of all of them,

could not understand the reason,
gradually I realized that it was the lack of space.

lack of breathing space,
space where I was myself at times, 
to keep the other person in the relationship happy.

I did things which I didn’t want to,
more and more it happened as the relation grew,
this was wrong as I had to be dishonest to myself,

I thought, this is the way to keep things going but it wasn’t,
more it happened, more it suffocated me,
more I felt the lack of space just didn’t have enough air to breathe.

I heard, saw and spoke what others wanted me to,
I was losing my identity, I was losing myself,
all of a sudden, the world looked so confined,

someone told me that “with every new relation
you have to be extra careful not to let it affect the older ones”
these words seem so true… and this is where I erred,

whenever a new relation developed
I had lesser time for some of the older ones,
or some other time.. for somebody’s happiness
I had to be distant from somebody else,

everything became so messy,
it’s really not easy to maintain them.

today, I realize the importance of breathing space in any relationship,
how important it is to let the person be himself/herself,

may it be your relation with your spouse, your siblings, 
your parents or your love…
maintaining the right balance is important.

its easy to jump at conclusions
but difficult to imagine ourselves at that place,

there’s always a new morning,
as before, life brings a new relation everyday,
and they get close too. 

but I don’t feel uneasy any more..
I have learned to maintain my self respect
and at the same time maintain the space,
and as long as these are there,
the journey together will be good.

mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon

mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon,
main sarhaoon mein paani dhundtaa hoon,

nagar mein, gaanv mein, basti mein, ghar mein,
jahaan ho zindagani dhundtaa hoon,

jo patthar kaatke raasta banaa le,
ghazal mein woh ravaani dhundtaa hoon,

pahunchti ho jo diloon se diloon tak,
wahi boli purani dhundtaa hoon. 

someday I will find you again

when one is lonely the days are long,
you seems so near but never appear,

each night I sing you a love song,
please try to hear me my dear,

someday I will find you,
moonlight behind you,

true to the dreams I am dreaming,
as I draw near you,

you will smile a little smile,
for a little while we should stand,

hand in hand I will leave you never
love you forever,

please tell me I am not dreaming,
try to make it true say you love me too,
because someday I will find you again. 

aksar yeh sunne mein aata hai

aksar yeh sunne mein aata hai..
bahut pyaar hain tumse,
dil kya jaan bhi de denge
aksar ye sunne mein aata hai,
kabhi azmaa ke to dekh lena.

aksar yeh sunne mein aata hai..
pyaar mein tumhaare hain itne dube,
chaand taare bhi tord ke laa denge.

aksar kayi baat sunne mein aati hain…
par sach kya hai.. so log kehate hain,
kuch hi hain jo pyaar nibha paate hain.

usme bhi chaand taare to kya
ek pal bhi saath nahi de paate hain,

kho jaate hain woh waade
jo khushiyon ke waqt kiya tha,
tut jaati hai woh rashme
aur bachta hai to kuch nafrat… kuch yaadein,
phir aaksar yeh sunne mein aata hai,
kaash main kuch kar sakta.

na jaane woh kis shehar mein rehte hoge

kaun se ghar mein na jaane woh mehakti hoge,
mujh se bichard kar kis shehar mein rehte hoge,

unse yeh kehna humein yaad bohat aate ho,
aye hawaon woh kabhi tum se to milti hoge.

isse pehle to bohat sada-o-masoom thi woh,
baad mudat ke jo dekhunga to kaise hoge,

yeh alag baat mere hath nahi ayeinge,
gham se ghabra ke kabhi khat to woh likhte hoge,

khatam ho jayega har taaluk mere sath,
mein nahin hunga na koi mere jesa hoga,

unse milne ke liye khud ko na bholo raaj,
woh achanak jo mile tum se to phir kya hoga.

milne aana kabhi-kabhi

raat jaagna kabhi-kabhi,
nazrein churaana kabhi-kabhi,

khubsurat ho tum, yeh kehkar,
itraana kabhi-kabhi,

chand ke saamne, sharmakar,
chali jana kabhi-kabhi,

khwaabon mein mujhko dekhkar,
muskurana kabhi-kabhi,

aaiyene mein husn dekhkar,
chandni mein jaana kabhi-kabhi,

kitaab ke panne palatte huye,
seene se lagana kabhi-kabhi,

nazrein churakar duniya se,
mujhse milne aana kabhi-kabhi.

2020 ho kuch aisa..

meri chah hai naya saal ho kuch aisa,
na ho jismein koi kisi ka dil dukhane wala,

duniya mein nahi hai jinka koi,
naye saal mein ho unko koi gale lagane wala,

ujadi huyi aankhein jinki zindagi mein hai andhera,
naya saal ho unhein dobara sapne dikhane wala,

tannha aur udaas logon ke aashiyano mein,
naya saal ho khushiyon ki baarish karne wala,

dukh, dard, dushmani sab ko mitakar,
naya saal ho sabse dosti karane wala.

strength, reality, unity, success, future, passion, sharing, security.. that's love

being happy for the other person
when they are happy,
being sad for the other person
when they are sad,
being together in good times
and being together in bad times,
love is the source of strength..!

being honest with yourself at all times,
being honest with the other person at all times,
telling, listening, respecting the truth
and never pretending,
love is the source of reality..!

an understanding that is so complete that
you feel as if you are a part of the other person,
accepting the other person just the way they are
and not trying to change them to be something else,
love is the source of unity..!

the freedom to pursue your own desires
while sharing your experiences with the other person,
the growth of one individual alongside of
and together with the growth of another individual,
love is the source of success..!

the excitement of planning things together,
the excitement of doing things together,
love is the source of the future..!

the fury of the storm,
the calm of the rainbow,
love is the source of passion..!

giving and taking in a daily situation
being patient with each other’s needs and desires,
love is the source of sharing..!

knowing that the other person
will always be with you regardless of what happens,
missing the other person when they are away
but remaining near in heart at all times,
love is the source of security..! 

woh puraani yaadein

kaash laut aati humaari woh puraani yaadein,
woh brown and white background pe verdana ka font,

woh sabse juda interface aur lightening fast speed,
ban jaati post automatically thi woh pleasure to read,

left side pe sajaa hota tha chhota sa apnaa avtaar,
neeche uske the links aur total posts ka shumaar,

control panel mein hi hoti thi doston ki line,
messaging ke options bhi the kitne fine,

har cheez thi uski doosre forums se nyaari,
thi humaari puraani site haaye kitni pyaari.

Happy New Year

happy, happy new year,
I wish you all the best,


great work to reach your fondest goals,
and when you are done, sweet rest.

I hope for your fulfillment,
contentment, peace and more,

a brighter, better new year than,
you have ever had before.

All Time's Favourite Posts