yeh bhi beet jayega

ghum ke badal se bheegi palke..
yeh bhi beet jayega,
sunehre sukh mein khushiyan chalke..
yeh bhi beet jayega.

samay ke saath mausam bhi badalta hai,
suraj ke saath din bhi dhalta hai,
patjhad ke baad phool bhi khilta hai,
saawan ke baad badal bhi dhalke..
yeh bhi beet jayega.

sone ke mahal, heeron ke haar,
khushiyon ka aangan, dhan ki bauchaar,
motiyon ka maala, ratno ka shringaar,
reshmi parde, farsh makhmal ke,
yeh bhi beet jayega.

dard ki chingari se jalta hriday,
daridra ki bhukh, mrutyu ka bhay,
peeda ke pal, dukh bhara samay,
pahaad sa bhaari mann, aansu kuch halke.. 

yeh bhi beet jayega.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts