ek yeh din hai aur ek woh din tha

mujh ko yakin hai sach kehati thi, jo bhi maa kehati thi,
jab mere bachapan ke din the, chand mein pariyan rehati thi,

ek yeh din jab apno ne bhi humase rishta tord liya,
ek woh din jab perd ki shakhein bojh humara sehati thi,

ek 
yeh din jab lakhon ghum aur kaal parda hai anshuu ka,
ek 
woh din jab ek zara si baat pe nadiyaan behati thi,

ek 
yeh din jab saari sadkein ruuthi ruuthi lagti hain,
ek 
woh din jab ‘aao khelein’ saari galiyan kehati thi,

ek 
yeh din jab jaagi raatein, deewaron ko takkti hain,
ek 
woh din jab shakhon ki bhi palakein bojhal rehati thi,

ek 
yeh din jab zehan mein saari tension ki baatein hain,
ek 
woh din jab dil mein saari bholi baatein rehati thi,

ek 
yeh ghar jis ghar mein mera saz-o-samaan rehata hai,
ek 
woh ghar tha  jis mein meri budhi naani rehati thi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts