shukriya aye dil gar yahi inaam hai mohobbat ka,
hum isko bhi muskuraa kar liye jaayenge,
kuch din to guzar gaye tumhaari aarzoo ke chalte,
aur kuch tumhaare intzaar mein guzar jaayenge,
kaun kehta hai ki sangdil ho gaye ho tum?
kaun kehta hai ki tangdil ho gaye ho tum?
hum to jab bhi tumhaare dar pe pahunche..
aksar woh bhi paaya jiski ummeed naa thi kie jaayenge,
mukkaddar jaane kaun kehta hain ki woh khuda likhta hai,
meri kismat to har baar tum hi likhte rahe,
jab bhi socha ke naseeb shaayad abke badal jaayenge,
kuch lamhein tumhaare.. abtak mere paas rakhe hain,
main ussi mord pe thehraa hoon iss ummeed se ki shaayad..
woh waqt palat ke aaye ya naa aaye,
tumhaare kadam tumhein waapas le hi aayenge,
bas ek adna sa intezaar hai,

abto saans lene aur jeene ke darmiyaan,
dekhein ab baaki ki zindagi hum saans lekar ya jeekar bitaayenge.

No comments:
Post a Comment