tum tannha hi reh gaye

woh shehar bhi chhord gaya
jo kabhi apna sa lagta tha,

un apnon se naata tut gaya
jinse bichadna ek sapna lagta tha,

main hairaan tha fitrat-e-insaan se
sab ke sab ek saanche mein dhal gaye,

chehre to sabhi jaane pehchaane the
phir achanak kaise badal gaye,

kuch khas to naa kamaaya tha
siway mohobbat ke lekin,

meri iss kamaai ke chehre se
mohobbat kaa hi rang utar gaya,

phiki muskrahaton mein chipe
woh chehre hi baaki reh gaye,

nasamjhi mein jinhein shayad 
hum mere apne keh gaye,

afsos teri naakami par chaand
chaandni  bhi teri naa ho saki,

inn sitaroon ki bheed mein bhi
tum tannha hi reh gaye. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts