ho sakta hai kuch haasil na ho tere intezaar se

woh parinda apni choti si umr se
achhi uddan bhar leta tha,

nadi pahard to choti baat thi
woh saagar tak paar kar leta tha,

aksar apni chhamtaon ko dekhkar
woh foola nahi samata tha,

aatmvishwas abhimaan ban-ne laga tha uska,
ab woh jameen par panw na rakh paata tha,

yoon to aksar nazar aata tha woh,
ek roz chaand usse bha gaya,

chahat sirf nigaahon tak naa rahi,
uska dil chaand par aa gaya,

apni naadaan chaahat ke chalte
woh apne paroon par,
kuch jada hi vishwas karne laga,

chaand ki doori se anjaan,
woh apni udaan bharne laga,

ek umr urdne ke baad uski,
ummeed ne dum tord diya,

iraade to majboot the uske,
par uske paroon ne saath chord diya,

apni iss naakaami ke chalte,
usne paroon ko fadfadana chord diya,

girne laga waapas zameen par,
aur jeene ka khayal chord diya,

shayad uske naseeb mein
dard aur bhi paana tha,

mar naa saka iske baad bhi
woh jaan gaya tha ab usse,
dobaara naa urd paana tha,

aaj bhi takta hai chaand ko
woh ussi se nazrein bachakar,

phir moond leta hai palkon ko
shaayad apne aap pe sharma kar,

har raat ke baad ujli subah ho
yeh jaroori to nahi,

ghtaaien bhi chha sakti hai,
ho sakta hai kuch haasil na ho tere intezaar se,
par zindaagi ka koi waada bhi nahi aye dost..
mout kisi waqt bhi aa sakti hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts