hota yeh mumkin kaise

hume to kisi ka sahara na tha, 
door khadi thi kashti par koi kinara na tha, 

humne to chaha tha saath humesa chalna, 
par waqt ko hi saath humara gwara na tha, 

kuch kadam ke fasle the
kuch meelon ke duriyan thi,
kaun aata yahan jab kisi ko aana hi na tha. 

sitare bhi zamin par aa jaate hain,
jab kisi ke dil mein chahat hoti hai,
sikwa kya karein kisi se,  
 jab kisine kuch chaha hi na tha.  

mit jaati dooriya,
mit jaate fasle bhi,  
agar hoti khwahish dil mein,
par hota yeh mumkin kaise,  
jab kisi ko dooriyan mitana hi na tha.

ruke huye kadam phir chalne lagte,
bhool jaate woh yaadein bhi, 
par hota yeh mumkin kaise, 
jab kisi ko woh yaadein bhoolana hi na tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts