ab bas ki ab aur nahi

ab bas ki ab aur nahi,
subah shaam yahi kashmakash chalti rahi,
tumhaari tasveer kayi baar nigaahon mein
aa aa ke pighalti rahi,

kitni hi baar waada kiya khudse,
kitni hi baar koshishein bikharti rahi,
doori bhi naa bana saka tujhse aur
nazdikiyon ki khwaaish bhi nikalti rahi,

aisa nahi aadtan tujhse judi,
yeh taareekh bhi bhula di maine,
jaane kyon, par kayi baar yeh ungliyaan
tumhare number pe aa aakar fisalti rahi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts