asli karmveer

jhulasti dhup mein aksar
woh nanhe masiha nazar aa jaate hain,
jinke pairon ko zakhmon ki aadat hai,
woh apne dard ko nazar-andaaz kar jaate hain.

unki kameezon par pure batan nahi hote,
phir bhi shaan se ithlaate hain,
kabhi caron ke sheeshe chamkaate,
to kabhi jute polish karte nazar aa jaate hain.

woh kisi doud mein shaamil nahi,
unhein koi mukaam bhi nahi bhata,
woh us sukhi roti mein bhi khush hain,
jiska ek tukda bhi humaare,
gale se neeche nahi jaata.

unki baaton mein badi saralta hai,
woh chikni chupdi baatein nahi banatein hain,
har din naya sagharsh hai unke liye,
woh apne aur apnon ke khaatir,
khun paseene ki tareh bahaate hain.

hum sirf mohobbat ke dard se lardte hain par,
yeh roz jaane kitne dardon se lard jaate hain,
jaane jamaane ki nazaron mein kya hain woh,
mujhe to woh sab asli karmveer nazar aate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts