ek aam aadmi..

ek aam aadmi..
khaamosh se in raahon mein bhatakta,
iss bhare se aasmaan mein apnaa,
astitva dhoond paane ko tarasta, 

ek aam aadmi..
do joon roti aur ek chhat ke khaatir,
in tez raftaar se bhaagti sadkon par,
zindagi se bhi dheemi chalti bason par,
roz bhagwaan bharoose latakta,

ek aam aadmi..
apne lehraate kheton ko dekh kar muskurata,
apni chhoti-chhoti khushiyon ki khaatir,
chhote-chhote se sapne sajata aur
unke poora na ho paane se ghabrata,

ek aam aadmi..
shehron ki chakachoundh se door,
uoonchi-uoonchi meenaaron se bharpoor,
motaron ki hord se anjaan,
apne chhote se ghar pey rang-rogan lagata,

ek aam aadmi..
sard kohre mein ghar se nikalkar,
apne maveshiyon ko chaara jutata,
seena cheerti thand se lardta,
apne kheton mein paseena bahata,

ek aam aadmi..
apni naakaamiyon ka maatam manata,
roz chulhe ke khaatir lakdiyaan jutata,
internet aur globalisation ke iss daur mein bhi,
pichhili sadi se bhi pichhla nazar aata.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts