yeh mastak tere charano mein jhukaane aaya hoon

naa kisi dharm, naa kisi majhaab se aaya hoon,
naa koi geet, naa hi kavita sunaane aaya hoon.

naa koi niyam, naa koi bandish bataani hai,
naa koi yaad, naa fariyaad dikhaane aaya hoon.

naa kisi gali, naa kisi kuche ki aawaz ke saath,
naa tere, naa mere ki baat bataane aaya hoon.

naa aanshun, naa ghum, sirf khushi ho naa sitam,
naa kisi bhaashan se doston rijhaane aaya hoon.

naa taaliyo ki gunjaar, naa baaton ki bahaar,
naa kisi ke yaad mein do pal manaane aaya hoon.

naa koi phool, naa koi lafz naa hi koi taraana,
main to apani baat tujh tak pahuchaane aaya hoon.

hey bharati..!
bas teri garima tujhi ko yaad dilaane aaya hoon.

naa koi ghum naa khushi ki shikayat hai yeh par
main hoon yehin par yehi bataane aaya hoon.

hai swabhimaan se bhara shees bhaartiya hone par,
yeh mastak tere charano mein jhukaane aaya hoon.

nyuchhawar har pal hoon, kehane ki jaroorat nahi,
maa! bas issi vishwas ko vishwaas dilaane aaya hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts