main hoon.. dard hai.. aur tannhaai ko gale laga raha hoon

jalte hue dil ki aag ko kuch yun bujha raha hoon,
ki tere diye ashuon ke jaam bana bana ke pee raha hoon.

har taraf faila hai andhera in judaai ke baadalon se,
aur aise mein teri yaadon ke deep jala raha hoon.

aaj bhi yaad hai humein tera woh baarish mein bheegna,
bas yahi soch kar aaj barsaat ka lutf uthha raha hoon.

darta hoon yun to main bhi.. koi dekh na le aankhon ki nami,
isiliye barasti huyi bundo ke saath aanshu baha raha hoon.

tere baghair mumkin nahin yun to zindagi ko guzaar pana,
bas tujhse jo kiya tha kabhi woh waada nibha raha hoon.

jaanta hoon ab chalna hoga mujhe tannha hi iss safar mein,
bas main hoon.. dard hai.. aur tannhaai ko gale laga raha hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts