kahe dil, likh jaa rait ki satah par koi fasaanaa

koi nazm nahi, gazal nahi, nahi koi taraana,
bas yun hi apani baaton par hi hai gungunaana,

dard nahi, shikawa nahi, nahi koi shikayat,
alfaaz bhi kam pad jaaye, aisa ho taana baana,

nahi yaad, nahi fariyaad, nahi koi amaanat,
kahe dil, likh jaa rait ki satah par koi fasaanaa,

naa ho mitane ka dar, naa chhupaane ki chaah,
bas aisa ho haal-e-dil ka mera tumhein nazraana,

naa koi khauf, naa hi umeed ho,  jaane jaana,
maun ho jaaun.. aye dil suna aisa koi afsaana,

naa koi aas, naa chaah, naa koi udaas dhardkan,
mit jaaye har pehalu yehi banaoon aisa baana,

naa galat, naa sahi, naa ho pehchaan ki seema,
har pehaloon se uthoon aisa ho yeh gungunaana,

aage jo bardhoon, naa pichhe ko kabhi hatoon,
raaj-e-samandar mein ho aise lahar kaa aana.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts