tu bhi akela hi jaayega

tu bhi jayega, akela hi jayega,
saath tere kuch nahi aayega,
kaun bacha hai, jo tu bach payega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

raja-rani daas gaye hain,
ashok-akbar midas gaye hain,
dhan sampatti sab yahin chhord gaye,
rishtey naate saare tord gaye,
woh nahi le jaa paye, tu kya le jayega?
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

sadiyon tak kamaya, sirf dhan kamaya,
bhav-saagar mein atka, har bhav ganvaya,
chhal se loota, bal se loota,
par jab waqt aaya, tab dhan bhi chhoota,

dhan ka bojh nahi utha paya,
karmo ka bojh kya uthayega?
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

haathi ghoda, bangla gaadi,
khet khalihaan, patte aur jhaadi.
saath nahi.. sab yahin raha hai,

sun lo sabhi sannto ne kaha hai,
mitti se bana hai, mitti mein samayega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

roop anokha, sunder hain kaya,
bhool naa jana, yeh sab hai maya.
do din ka mela hai, phir kya jhamela hai?
raahi ke haatho mein, karmo ka thailla hai,

woh din phir aayega…
jab lakdiyon ke saath tu bhi jal jayega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

rishtey naate, dost saathi,
do din ke hain, yeh saare baraati,
dhan dekh, tujhko sab pooje,
dhan jaaye.. ho jaaye sab dooje,

saath nahi dega koi,
jab yam tujhe darayega,
tu bhi jaayega, akela hi jaayega...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts