aur chahiye, aur chahiye, bahot kam hai mere paas abhi

takhto taaj ke safar mein, dushman baithe hain,
sone ki chaadar ordhe, durjan baithe hain,

heeron ke aaine mein dhundhe hai khud ko,
nazrein utha ke dekh samne, maut ke darpan baithe hain,

imaartein hai unchi, unche mahal hain,
sange mar-mar ke deewarein, farsh makhmal hain,

heere moti jade hain,  phir bhi bhukhe dhar hain,
lobh ke baadal mein vish ke saawan baithe hain,

bachpan mein jo aag lagi, budhape mein bhi bujhi nahi,
dhan sampatti ki jo lalsa thi, barson baad bhi mitti nahi,

aur chahiye, aur chahiye, bahot kam hai mere paas abhi,
ab to sambhal ja, intzaar mein tere jalte chandan baithe hai,

bhukhe daridra ko pet bharne ke liye do roti chahiye,
woh jab mil jaaye to gadi bangla heere moti chahiye,

par tujhe kya pata marne ke liye bas yam ki chunouti chahiye,
raaj kehta kuch nahi chahiye, yam to mere aangan baithe 
hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts