mere kisse ekdin geeton mein sunaye jaayenge

kabhi dil mein teri yaad thi,
inn aankhon mein teri tasveer thi,
meri zindagi tere naam thi,
aur saansein teri jaagir thi.

kabhi kadam uth-te the teri rahoon ki taraf,
aur sazde the sirf tere hi dar ke liye,
har khuli aankh ke khwaabon mein basaa karti thi tu,
teri yaadein huwa karti thi mere basar ke liye.

phir kyon tune mujhe sile diye bewafai ke?
pairon talle raund dali meri yeh duniya,
jalaa ke dil ko mere raakh bhi rahne na di baaki,
koi baki nahi rahne diya jahan mein mera nishan.

ab to bas ek lakeer sa dhuwan hai,
koi siskiyan leti huyi chingari,
tannhaiyon ke nazar ho gayi rooh meri,
har taraf aag hai, bebasi aur bezaari.

jalte huwe jahan mein laut aaunga,
waapis yahan jhuthla ke maut aaunga,
teri rangeen raaton mein banke kali ghataa,
mausam-e-ishk pe lahu barsaaunga.

yeh mera waada hai dil tordne wale,
jab kahin mehfil mein tera naam aayega,
bewafai ko teri log yaad rakhein ki nahi,
ishk mera, mera deewanapan kaiyon ko yaad aayega.

hazaaron saal tak iss deewane ki aah barpegi,
aashik bhi mere naam ki kasam khaayenge,
mohabbat iss jahan mein hain kayi karne wale,
par mere kisse geeton mein sunaye jaayenge.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts