bojh in saanson ka kya batlaun

bojh in saanson ka bhari hai bahut,
ho gaya mushkil uthana kya batlaun,

uss shahar ki uss gali mein woh makaan tha,
usmein tha kiska thikana kya 
batlaun,

band khidki ke pare baarish ki bundein,
sard raaton mein shamaa ka tim-timana kya 
batlaun,

woh parinde jo kabhi udte the meelon,
unka pinjare mein fad-fadaana kya 
batlaun,

karwatein badalte hum yahan par,
chain se soye zamaana kya 
batlaun,

unke khushion ke naghme unko hi mubaarak,
main yahan gham ka fasana kya 
batlaun.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts