humne tannhai ko apnaya tha jab saath tumhein nahi paya tha

main raah par chal raha tha jis par yeh mord aaya tha,
woh pyaar ki baharon ko lekar khadi thi,
main to uss raah par chalta gaya.. chalta gaya.

woh mujhe bas khinchti gayi.. khinchti gayi,
par sahyed manzile door the,
yeh rahein sahi nahi thi,
jo ab tak bhi woh nazar nahi aayi thi.

mere aas paas khushbu bhari hawaayein thi par gulshan nahi tha,
chandni bhari raat thi par chand nahi tha,

sitare gir rahe the par thamne ke liye daman nahi tha,
humne tannhai ko apnaya tha jab saath tumhein nahi paya tha.

sapne tut gaye the.. saaye chuut the,
meri bahoon mein to sirf tera ehsas aaya tha.

waqt na jane hamein kis mord par laya tha,
jaha meri aankhiyon ne tumhe
samandar ke dusre kinare paaya tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts