kya woh aaj bhi aisi hai aisa kal tak lagti thi

jhuthe the ya sache the,
mujhko ache lagte the,

aankhein unki kali thi,
aur chehra ujla ujla tha,

phool chaman mein khilte the,
jab woh khul ker hanste the,

keh deti thi sab kuch hi
dil mein kuch kab rakhti thi,

saitaani bahut kerti thi,
lekin dil ki woh achi thi,

ker leti thi jhagrda aur
foren maan bhi jati thi.

door bhi hum ho sakte hain
kab humne yeh socha tha,

kitne pyaare din the woh
har dum saamne rehte the,

begani thi lekin, woh
apna apna lagti thi,

gulshan uske chahat ka
mere dil mein mehka tha,

kya woh aaj bhi aisi hai,
jaisa kal tak lagti thi,

ya rab usko khush rakhna,
har dam jo khush rehti thi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts