apne badal jaate hain waqat ke sath

waqat badalta hai zindagi ke sath,
zindagi badalti hai mohabbat ke sath,

mohabbat nahi badalta apno ke sath,
bas apne badal jaate hain waqat ke sath.

jab bhi tum yaad aate ho main sab kuch bhool jaata hoon

jab bhi tum yaad aate ho,
main sab kuch bhool jaata hoon,
tera hansta hua chehra,
teri jadu bhari baatein,
tere gille tere shikwe,
teri masoom addayein,

tere yadoon ke jhule mein,
main tannha jhul jaata hoon,
jab bhi tum yaad aate ho,
main sab kuch bhool jaata hoon.

aksar chooti si baaton par,
jab tum rooth jate the,
mere manane se pehle,
khud hi maan jaate the,

jab bhi khawabon mein aate ho,
to khushi se phool jaata hoon,
jab bhi tum yaad aate ho,
main sab kuch bhool jaata hoon.

neendon ke safar mein

din bhar tere khayaloon mein doobey,
jab raat ko takiye par ser rakha,
to ek anjaani khushi mahsoos huyi,
khawab mein tere dedar ki khushi...

ki yahi to ek mumkin jarya hai tujh se milne ka,
ya iss baat ke khushi ke kal ka sooraj
tujh se mulakkat ki tareek ko kareeb layega,


lekin iss khushi mein jahlakta hai ek ajeeb sa daar,
ki agar saari raat tere hi yaad mein neend nahi ayi to,
tujh se milne ki khawish to adhoori rah jayegi,
aur mere dil ka chain-e-karar jo tujh se hai,
woh naseeb na hoga...

issi kash-ma-kash mein na jane kab annk lagi mere,
tere tasveer ko nigahoon mein paa kar yeh mehsus hua ki,
ab main neendon ke safar mein hoon,
aur tu mera hamsafar hai hamesha ki tarha.

raaj hai mera naam

bakaiti thakur hoon main, raaj hai mera naam,
bhoole bhatako ko raah dikhana, hai mera kaam,

pade likhe bewakoof se, nit hoti mulakaat,
kosish kerne par bhi samjhe na meri baat,

mandir mein jaa ker log ebaadat kerte hain,
apne sukh samridhi ki wakalat kerte hain,

kalyug mein ishwar ko paana hai aasaan nahi,
prem bhaw se bhakti kerne wala hai insaan nahi,

guru-shisya ka nata aaj kalankit ho gaya,
naytikta ka pattan aaj sunischhit ho gaya,

mata-pita ki baani hoti annmol hai,
baccho ke liye jo kadvi besak ghol hai,

yoga yoga sab kahe, par kare na koi,
samay-samay par yog kerte to rog hoye na koi..

why did you have to leave?

nights I dream of you,
wish you were here by my side,
thinking of you so many times...


when were together
it felt so right, we were so happy
and I know it also meant something to you,


then you had to leave
and heard not a word from you,
when we talk you say you miss me
why have you treated me this way?

I am sitting and wondering,
I am starring in front of me,
I feel a lump in my throat,
I sit with tears in my eyes,
feeling low.. I know you gone.


why did you leave me this way?
you promise you will never leave,
then why did you have to leave?

why did you say goodbye?

but what I feel for you
you’ll never know.


why did you have to leave?

tannha-e-safar itna muskil na tha

itna maasoom to dard-e-zigar na tha,
jismein rahe, wahi apna ghar na tha,

mere hi kadmon se kyun lahoo baha,
iss kadar zaalim to yeh saffar na tha,

hum bhi aise tishnagi ke maare hain,
chale bhi udhar, rastaa jidhar na tha,

wafa-e-mohabbat teri gar hua hota,
tannha-e-safar itna muskil na tha,

kuch sangin jurm karun marne ke liye,
ek gunaah mein shayad woh asar na tha,

kabhi rangon ki tarhaa bikhra tera ishq,
ro diye hum jo aaj woh tirr-e-nazar na tha,

aaj khaamoshi se sitam ”raaj” pe kiya,
warna kal tak tu itna be-kadar na tha. 

ab khushi mein bhi muskuraya nahi jaata

khwaabon ka taaj ab banaya nahi jaata,
ek kadam bhi ab apne aap ko azmaya nahi jaata,

log to gham ko bhi apne
muskaan ke saaye mein chupa lete hain,
humein to ab khushi mein bhi muskuraya nahi jaata.

haqeeqat hi kuch aise khel khelti hai zindagi se,
ke ab khwaabo ko aankhon mein laya nahi jaata.

jaane wale ab peeche murd kar nahi dekhte,
ab humse bhi baar-baar bulaya nahi jaata,

"raaj" ko phir bhi yakeen hai apni mohaabat mein,
sacha pyaar ho to kisi se bhi tukraya nahi jaata.

duniya nahi kabil lekar dard-e-dil jeene ke

apnon ko chhot dikhayi na di meri,
aur gair zakham sehalane lage,

dekh kar tanhai mein mujhe,
mehafil mein log muskurane lage,

meri chhokhat par torda rishta usne,
jisse banane mein mujhe zamane lage,

maine duniya se chhupai mulakate humari,
ab uski di huyi badnami ke rang suhane lage,

wafa-e-ishq nibhayenge jaan lutakar bhi,
aab yeh kisse purane lage,

kabhi banna chaahi thi dulhan jisski,
aab wahi mujhe kaffan odhane lage,

uski bewaffai thi sirf kismat meri,
yahi keh kar hum dil ko behalane lage,

duniya nahi kabil ”raaj” lekar dard-e-dil jeene ke,
issi liye ab khushi khushi maut ko gale lagane lage.

door bahot door ab mujhe jaane do

mujhe dard ke samunder mein doob jaane do,
door bahot door ab mujhe jaane do,

bheerd mein rah kar tanhaai dekh li bahot,
ab kisi tannha jagah par daffan ho jaane do,

thak se rahe hain kadam, thak umeendin gayi,
saanson ko meri bhi ab tham jaane do.

saanson ka chalte rahna nahi hai zindagi,
yeh hum samjh chuke, unko bhi samjhane do,

mujhe dard ke samunder mein doob jaane do,
door bahot door ab mujhe jaane do... 

apne dil ka raaz batana nahi achha

kisi ki mithi baato par fisal jana nahi achha,
fisal kar apne dil ka raaz batana nahi achha,
jise tum raaz samjoge woh badnaam kar dega,
har ek ko apne dil ka jaam pilana nahi achha.

phir huyi woh baris pahle wali

phir huyi woh baris pahle wali,
phir barsa wahi pani,
phir bhiga main us pani mein,
magar iss bar main akela tha...

magar iss bar main akela tha,
kyonki nahi the tum mere saath,
aur na hi thi tumhari koi yaad,


phir kaise huyi woh baris pahle wali,
phir kaise barsa wahi pani?

jo hoti woh baris pahle wali,
jo barsta wahi pani,
to bheengati tum bhi mere saath,


magar iss baar main akela tha,
magar iss baar main akela tha... 

bas yeh meri kahani

yeh hai meri kahani,
khamosh zindagani,
sannata keh raha hai,
kyun zulm seh raha hai?

ek dastaan purani,
tanhayi ki zubani,
har zakham khil raha hai,
kuch mujh se keh raha hai.

chubhte kante..

yaadoon ke daaman se chunta hoon,
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon,

bas yeh meri kahani,
benishaan nishaani,
ek darr beh raha hai,
kuch mujh se keh raha hai.

chubhte kaantein..
yadoon ke daaman se chunta hoon,
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon.

ab na koi paas hai,
phir bhi ehsaas hai,
zindagi mein uljhi padi,
jeene ki ek aas hai.


yadoon ka jungle yeh dil,
kaanton se jal thal yeh dil,
chubhte kaantein..
yadoon ke daaman se chunta hoon,
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon. 

a hope continues..

I had times such as this
not knowing where or when
yet still hoping our paths
will soon merge once again.

memories comforted me
during times you were gone
yet I await in anticipation
hoping paths blend into one.
 

I had thought of you often
even though we are far apart
as I recall paths that led
upon journeys heart to heart.
 

I had patience on my side
so the storms I can weather
as hope springs eternally
in uniting our hearts together.
 

I had not given up on hope
it helped me make it through
while I await your return
dreams of you and I continue..

kal ka to pata nahi

kal ka to pata nahi,
magar aaj ka to pataa hai,
jo hai ek dil mere andar,
woh aaj kal ghamo se bhara hai,

socho to har koi muskilon se guzarr raha hai,
apne gham ko chupane ke liye,
banawati muskaan se woh sajaa hai,

meri pareshaniyon ko aap ka samjhenge,
main to unn logon mein se hoon
jo takliff sehne ke liye bana hai,

meri bhi kabhi ek duniya thi,
kya pata tha kaante hi meri manzil ka pata hai,

kal ka to pata nahi,
magar aaj ka to pataa hai,
jo hai ek dil mere andar,
woh aaj kal ghamo se bhara hai.

aye mere khuda mujhse aake tu mil

aye mere khuda mujhse aake tu mil,
tum meri saaz hai, meri aawaaz hai,
mere dil mein kuch sawaal hai, unka jawaab do..


kyun bani roshni ? 

jab har aur andhera hai,
zindagi ke liye kyun har raat sawera hai?


kyun bana yeh jahaan, kyun banaa aashma?
kyun bane khwaab hain? aaye hain kyun hum yahaan?
yeh duniya kyun kamaal hai, mujhko hisaab do...

mere parmatma mujhse aake tu mil,
tu meri saaz hai, meri aawaaz hai,
mere mann mein jo sawaal hain, unka jawaab do..


kyun yahaan dil se dil, tut kar na mile?
baaki reh jaate hain kyun yaadon ke kaafile?
kyun yeh raahein jawa, chorde aise nisha?

zindgi mein badalte mausamon ki tarah,
mere dil mein kuch sawaal hain, unka jawaab do..

main hairaan reh gaya

murd ke dekha jo maine to hairaan reh gaya,
ki insaan aaj sab, siwa insaan reh ho gaya.

ek jhooth se bhar pet usse anaaz mil gaya,
phate note sa jeb mein imaan reh gaya.

wade ko apne tune kiya jhootha iss liye,
ghar bante bante mera hi makaan reh gaya.

neta nahi paata apne kaam se koi vote,
uska sahara geeta-aur-quraan reh gaya.

tauba yeh chalte log, yeh shor, yeh dhuan,
paane ko sukoon bass ab shamshaan reh gaya.

tere darr par khada tha main, mere dar par khadi thi maut,
kaun haasil kisse karen, yeh imtehaan reh gaya.

khuli thi aankh meri zakhm ke jalne se yak-a-yak,
ujlat-e-chaaragar sirhane namakdaan reh gaya.

dil se nigaah tak nigaah se gayi dil tak,
baat ko tarastaa kucha-e-zubaan reh gaya.

ab ummed na hogi unki inaayat,
woh meherbaan kya ho, jo khud pe meherbaan reh gaya.

lost and forgotten

under my bed covered
in dust lies dust bunnies,
broken or lost toys,
pens and pencils… 


but most of all,
under my bed lies
my broken and
shattered heart..

my lost, forgotten heart
that has befriended dust.


it has become of the past.
lost and forgotten,
it just sits there
with a dust blanket, 


this heart no longer
cries out for you,
this heart no longer
listens to you, 

nor does it even care.

but the most terrifying thing is…
under your bed
all covered in dust,
lost, forgotten broken and shattered lies me. 


I am under your bed and covered in dust.

internet love these days

don’t be fooled by those genuine smiles,
things are so different across the miles.
you’ll only see what you wanna see,
and believe in love that will never be.

your days will be endless, your nights so long,
because in her world you don’t belong.
she’ll love you yes, in times that are tough,
but a little love is just not enough.

she’ll make you promises so you won’t cry,
convince you to stay, or she’ll just die?
now that one calls for an lol!
doesn’t she know you’re already in hell?

there’s so many things you may never know.
she’ll choose what to keep and what to let go.
she’ll promise to take you by the hand,
and paint you a picture of the perfect women.

you’ll think that your love has really grown,
but still you sit there, sad and alone.
and when she sleeps, it’s not with you,
there’s someone else she’s clinging to.

and more than once she’ll apologize,
so you’ll forget the hurt and lies.
then when you’re smiling once again,
she’ll tell herself you’re just a friend.

until you can look into those eyes,
the computer screen is her disguise.
she’ll love you yes, in times that are tough,
but across the miles, you’re not enough.

very few people would take the chance,
to give it all up for a little romance.
it’s easy to do when behind a screen,
but things are not always as they seem.

don’t waste anymore of your precious time,
open your heart and you’re sure to find,
true love does exist that’s honest and real,
the kind of love you can actually feel.

you’re just too wonderful to sit and wait,
so move on now before it’s too late.
either she loves you, and she wants you now,
there’s no in between when you make a vow.

again I’m thinking of you

each time I clear my mind of you
and 
I think that I’m moving on,
something reminds me again of you,
and once again you’re on my mind.

each time 
I realize my life’s improved
and 
I think that I couldn’t be less,I always dream of you and me,
and again the tears come.

each day that ends 
I review my life,I know that I’ll make it one more night,I’m haunted of all that I had
again 
I’m thinking of you.

songs 
I hear on the radioI'll sing along to it for you,
and then 
I remember how special you were,
again 
I lose my smile.

when 
I feel my heart has recovered,
and it’s time to try again
relive the love we shared,
i
I’m loving you even more.
I clear my thoughts of you
think that 
I’m doing fine,I am only lying to myself,
I wish that you were mine.

yeh un dino ki baat hai jab hum zinda hua karte the

un dino ki baat hai ki hum bhi kabhi kuch ehsaas karte the,
nazre mili thi kisi se jab jaage se khwaabon mein rehte the,

honton pe taale laga mann se naa jaane kya kya kehte the,
ki kara tha ek din ekrar to din mein soye khwaabon mein khoye rehte the,

aur mila jawab unka bhi haan mein to dharti pe kahan rehte the,
badi baat to aag lagi thi kabhi unke dil mein woh humse kehte the,

lagta tha har pal jannat jab woh kareeb rehte the,
honton pe muskan hoti thi aise mere naseeb rehte the,

din beete, badi bekrari jab woh humse door rehte the,
baju-kat humare kandhe se woh kisi aur ki bahon mein rehte the,

ankhon mein humari reh kar behemi se mirch uneme dhoke ki bharte the,
laga aag hamari basti mein, apni duniya mein ujaale woh karte the..

talwar dhoke ki khake bhi hum dard se naa karhaya karte the,
badte dard ko seene mein chupaye aahein tannhai mein bhara karte the,

jalte hue har pal hum har pal yun tarsa karte the,
anshu pee ke apne hi apni pyas bujhaya karte the,

angaron pe chal ke kati sari zindagi, uff naa hum kiya karte the,
dukh na kerna sunn ke baat un dino ki hai jab hum zinda hua karte the.

aisa bhi ho sakta hai

woh saare ehsaas bhula dein, aisa bhi ho sakta hai,
woh apne vaadon ko bhula dein, aisa bhi ho sakta hai.

yaaron bhari mahfil mein usko, kaise bewafa main keh doon,
huyi koi mujhse bhi khata ho, aisa bhi ho sakta hai.

koi roshni ki khatir, ek ghar mein diya le aata hai,
vahi diya aasiyan jala de, aisa bhi ho sakta hai,

kehte hai ek tanha musafir bhi manzil pa jaata hai,
kisi ko manzil hi thukra de, aisa bhi ho sakta hai.

koi hatheli par chahat mein apna likh de naam kabhi,
aur usse woh khud hi jala, de aisa bhi ho sakta hai.

opar se lagte hain maamooli ander kaafi gehre hain

jaane pehchane chehron mein anjaane bhi chehre hain,
uper se maasum hain lekin, ander se yeh gehre hain.

insaan ko insaan ki khatir, insaan giraaye nazroan se,
yeh kaam nahi kuch bhi acha, phir bhi ser par sehre hain.

aaj ki duniya kal na hogi, iss par itna naaz na kar,
paani ki yeh khatre hain, rait pe jo ke tehre hain.

dil ki baat bataaein kis ko, behron ki is basti mein,
apne do ek dost hain lekin, woh to sada ke behre hain.

bharte-bharte hi yeh bharenge, raaj yeh dil ke chot hain jo,
opar se lagte hain maamooli, ander kaafi gehre hain.

dil ko apne tum khud dekho

tute tute bandhan leker,
jeete ho tum uljhan leker,

dil ko apne tum khud dekho,
dil kaa sachcha derpan leker,

pyaase dil ki pyaas bujha loo,
aankhoon ki tum saawen leker,

kitne bikhre lagtae hain sab,
bikhraa bikhraa, aangan leker.

jeena mushkil lagtaa hoga,
bojhal, bojhal, tun mun leker,

saaf karoage dil ko kaise,
maila, maila, aanchal leker,

itraaoo naa saman
 jaada,
auroon ki tum dhardken leker.

khud mein ek insaan rakho tum

geeta ya kuran rakho tum,
mann mein itna dhiyaan rakho tum,
tut na paaye mann ka mandir,
har dil mein bhagwaan rakho tum.

dharti banaegi pyaar ka saagar,
auroan ka ehsaan rakho tum,
bun jaaoage tum bhi payamber,
khud mein ek insaan rakho tum.

bardh jaayegi dil ki kheemat,
pyaara sa mehmaan rakho tum,
jeet hi loage duniya ek din,
jazboan ka tufaan rakho tum.

yaad rakhegi duniya tum ko,
apni ek pehchaan rakho tum,
kaam nahin hai koi mushkil,
dil mein eemaan rakho tum.

duniya tum ko chaahegi ek din,
chaahat ka armaan rakho tum,
dil hai tumhaara moum ke jaisa,
iss par na chattaan rakho tum.

pachtaaoagae tum kisi din,
dil mein na shaitaan rakho tum.

log kehte hain jaan hum ganwaayenge kisi roz

dard kya hota hai bataayenge kisi roz,
hamare ghazal tumko sunaayenge kisi roz.

thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane,
mujhko yeh veham thaa woh bulaayenge kisi roz.

khuda kasaam.. maine to socha bhi nahiin tha,
woh itnaa mere dil ko dukhaayenge kisi roz.

har roz aayine se yahi puuchta hoon main,
kya chehare pe mere hansi bhi sajaayenge kisi roz?

urdne do in pariindon ko aazaad fizaa mein,
tumhaare honge agar laut hi aayenge kisi roz.

apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tamaam dikhaayenge kisi roz.

raaj  gar apne ghamon mein dubba rahe yuun hi,
log kehte hain jaan hum ganwaayenge kisi roz. 

kya bura kiya

shaam-o-subah intezaar kiya… kya bura kiya?
teri kashmon ka aitbaar kiya… kya bura kiya ?

so jaati hain pal bhar ke liye dil ki umeedein,
sakhi ko apna yaar kiya… kya bura kiya ?

apne doston ki dosti pehchaanta hoon main,
jo dushmanon ko khabar-daar kiya… kya bura kiya ?

jaane se pehle ittna to bata ke jaate dilbarr,
jo raaj ne tumse pyaar kiya…. kya bura kiya ?

phir kaaghaz-kalam uthaayenge

phir shaam dhali phir raat huyi,
phir yaad mujhe woh aayenge,
yeh khwaab adhuure se mujhko,
phir saari raat jagaayenge.

yeh baadal kaale-kaale se,
zulfon ke yaad dilaayenge,
yeh aanshu teri judaai ke,
phir palkein meri jalaayenge.

jo zakhm diye tumne humko,
seene mein sajaa kar rakhe hain,
yeh phool hain meri chaahat ke,
dil kaa aangan mehkaayenge.

sau baar kaha dil ko humne,
kuch hadd hai paagalpan ki bhi,
ab jaane waalon ka aakhir
hum kab tak sokk manaayenge.

chup-chup se baithe hain tannha,
chehare pe udaasi chhayi hai,
lagta hai a
aj solitary raaj..
phir kaaghaz-kalam uthaayenge.

na milo to rooth jaati hai

na milo to rooth jaati hai,
milo to mushkilein barhati hai,

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.


khud hi bunti hai yeh rishte mujhse,
aur phir inmein fansa deti hai,
mujhse waada to nahi uska koi phirbhi,
ek ankahi si baat par,
ek ansuni si ummeed jaga deti hai.

humne sar aankhon pe bhitha rakha hai jisse,
in khayaalon mein dulhan sa saja rakha hai jisse,
jaane kya pardhti hai in aankhon mein woh,
khud hi deti woh haath mere haathon mein aur,
jaane kya soch ke phir haath chhuda leti hai. 

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.

mere khawaab meri chahat se dagaa karne lage

hum jab apne dard ko dil se juda karne lage,
yeh zakham hamare marne ki duaa karne lage,

humne jaan de di unnhein aaya na pyaar phir bhi,
uparr se mere baad gairon se waffaa karne lage,

kambakhat zubaan ko aab koi aur chiz bhaati nahin,
hum jab se apne ashkon ka nasha karne lage,

woh nazar aate nahin ke khul jaati hai neend,
mere khawaab meri chahat se dagaa karne lage,

mere dushman khatt unnhein pahunchaa rahe hain,
unnke dost mere zakhmon ki dawaa karne lage,

rote hain hum to gham ke maare aye jaan-e-chaman,
kyon aankhein aap mailii be-wajah karne lage..?

abhi likha tha “be”…..”waffaa” likhne laga tha,
mere kalam mere haathon se gilaa karne lage.

tardap ke main aata rahunga, dil apna jalata rahunga

bulaongi jab jab tardap ke bhi main aata rahunga,
ashko mein bhinga bhinga ke, apna dil jalata rahunga.

bana lunga mukaddar aahon ke aashiyane mein,
hathon ki lakeerein, tannha raahein batata rahunga.

mujh mein shamil yaadon ki saugaat tu hi hai,
keh keh tujh ko apna, tute arman sajata rahunga.

alfaaz bhi khare nahi utarte dard-e-dil mitaane mein,
cheer cheer dil sahi, nagma-e-ishq sunata rahunga.

aarzoo ke sahil se jafa-e-lehar ban takraati rehna,
lahu ki rait pe naam tera, likh likh mitaata rahunga.

jab naa bachi sansein, kyun bacha raha raaj?
dhadakan nahi seene mein, par dil dhadkata rahunga.

andheri shaam ke andhere mein bas chuka saya mera,
ujaale ki umeed mein hoon, yeh sabko batata rahunga.

tardap ke main aata rahunga, dil apna jalata rahunga.

ab aur kitne imtihaan doon

aur kaise mohabbat ki pehchaan doon,
apna dil nikaalun, yaa apni jaan doon?

na apni manzil, na koi humsaya mera,
zameen mein dhansa, apna aasmaan doon.

ishq pe mitne ki chhahat ne marra mujhko,
tannha ashiyaan, yaa luta yeh jahaan doon?

yakin tumhe naa hoga, yeh na manenge,
bheegi yaadein, yaa toota har armaan doon?

keemat tumhari chuka di tumse juda hoke,
ab yeh khaak tarane, yaa tannha aastaan doon?

ab jeena mumkin nahi, saanson se lard ke,
ghayal karun khud ko, yaa maut aasaan doon?

band nazrein, khamosh woh saccha pyaar,
jal gaya jism bhi, aur kitne imtihaan doon? 

aankhon se beh rahi aaj phir koi kahaani hai

saanse hi bachi bas mere hone ki nishani hai,
aankhon se beh rahi aaj, phir koi kahaani hai,

bheege hue patto par fisalti sarakti si jaa rahi,
pal pal khatam hoti hui mit-ti si zindgaani hai.

seene pe bikhre hai jo armaan toote se yahan,
baaton ka hunar hai kuch yaadon ka paani hai.

le aati hai kareeb usse baar baar tannhai meri,
muskura main kehta hoon, yeh baatein purani hai.

urda deta hoon lafzon ko iss kaid-a-asman mein,
ki sisakti huyi raatein aur madhosh jawaani hai.

royi hogi bohat woh bhi, mita ke sacche pyar ko,
dil-e-nakaam ka guroor hai, ya ek nadaani hai.

haan bin tere jiya kab, zinda yeh laash uthani hai,
sach... saanse hi bachi, mere hone ki nishani hai,
aankhon se beh rahi aaj, phir koi kahaani hai.

ek bewafa se wafa hum nibhate rahe

bewafa na woh na main, hum apne karam nibahte rahe,
main sehta raha sitam sare, aur woh sitam dhaate rahe,

kis baat ki kahani kahun, kis baat ke fasaane sunaun,
liktha raha naam jo dil pe, woh dil se sanam mita-te rahe,

iss gali phir uss gali mein, pairon par zulm karte chala,
kehta gaya apna unhein, woh gairon ko  khas bataate rahe,

nazron mein bache ehsaas uski nishani bana sambahle,
main roya gham-e-judai pe, woh mehfil-e-jasan manate rahe,

pyaasi raahon se kya poochun pata dar-a-mohabbat ka,
rahe sambhalte kaanton par, woh be-raham bichaate rahe,

aasra unka kahan.. khuda bhi jo kare sache pyaar yahan,
hum mitt gaye chahat mein unki, aur woh veham batate rahe,

haan bewafa woh kaise, usne bewafai se wafa to ki yaar,
meri bhi khoob kaho, wafa unse hardam nibhate rahe.

All Time's Favourite Posts