har mehfil meri tannha hai

door tak naa koi apna hai,
oas ki tarah dhundhla hua mera sapnna hai,

nazar jaha tak bhi jaati hai meri,
ajnabiyon se bhari yeh duniya hai,

har mehfil meri tannha hai,
meri aur mere gum ki duniya hai,

sard raatein hai aur tim-timate taare hain,
hum bhi khud mein hi simat se jaate hain,

mere khawabo mein saaye ki tarah chale aate hain,
kuch pal thaharte hain aur chale jaate hain,

oas ki dhundhlahat mein phir kahi kho jaate hain,
kuch pal hum bhi bebas ho jaate hain,

kuch aanshoo bahate hain,
aur hum bhi us oos mein kahi gum ho jaate hain….

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts